Jeeban se bhara prabhu nayan yugal prem
karuna ki dhaara bahaata hai,
shrimukh nishrit amrit bachan cheer
managal patha darshaata hai..
Param paaban tanu maheema mandit
lalit madhur chhabi prabhupulakaanchhit,
aartajano Ka param sahara
Amiya sudha barsata hai...
Udeet gagan main naveen tapan sama
Divya jyoti se durit sakal tama,
Naveen aalok ujjwal karta
Mukti ka raah dikhata hai...
Hridyanaath mere hai mahiyaan Jaraa maran se deta traan, Shaant soumya prabhu hai kalyaan Sharan tera harshaata hai..
Comments
Post a Comment